Monday, March 10, 2014

Mere Ashkon ko Palkon Par Machlna Bhi Nahi Aata

Mere Ashkon ko Palkon Par Machlna Bhi Nahi Aata, 
Hisaar-e-Zabt Se Mujh ko Nikalna Bhi Nahi Aata. 

Gayi Ho Aaise Raaho'n Mein Akela Chhor Kar Mujh ko, 
K Jin Pe Theek Se Mujh ko Chalna Bhi Nahi Aata. 

Mujhe Lagta Hai Mein Ghum ka Wo Sooraj Hoon, 
K Jis ko Shaam Ho Jaane Par Dhalna Bhi Nahi Aata. 

Na Rehte Muntazir Tere To Aur Kiya Karte? 
Hamein Teri Tarah Rasta Badalna Bhi Nahi Aata. 

Ye Duniya Bhi Jalaati Har Umar Bhar Unhi ko, 
K Jin ko MOOM ki Tarah Pighalna Bhi Nahi Aata.

No comments:

Post a Comment