Tuesday, March 18, 2014

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Khawab Ka Jo Tabeer Se Hai
Sheeshe Ka Jo Tasveer Se Hai
Sachayi Ka Jo Zameer Se Hai
Qaidi Ka Jo Zanjeer Se Hai
Samandar ka Jo Mahi-Geer Se Hai
Ranjhay Ka Jo Heer Se Hai,

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Chaand ka jo Raat se hai,
Saawan ka jo Barsat se hai,
Dil ka jo Barsaat se hai,
Dil ka jo Jazbaat se hai,
Mosam ka jo Soghaat se hai,
Jeet ka jo Maat se hai,
Takdeer ka jo Halaat se hai,

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Piyar ka jo Iqraar se hai,
Dukh ka jo Izhaar se hai,
Sharaab ka jo Khumaar se hai,
Nafrat ka jo piyar se hai,
Jeet ka jo haar se hai,
Til ka jo Rukhsaar se hai,

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Kaante ka jo Phool Se Hai
Insaan ka jo Bhool Se Hai
Raah ka jo Dhool Se Hai
Dua ka jo Qabool Se Hai
Ilm ka jo Husool Se Hai
Kitaab ka jo Rasool Se Hai

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Bahaar Ka Jo Chaman Se Hai
Nigaah Ka Jo Hussan Se Hai
Pardesi Ka Jo Watan Se Hai
Justaju Ka Jo Lagan Se Hai
Choli Ka Jo Daaman Se Hai
Yaadon Ka Jo Sawan Se Hai

Mera Tumse Aesa Rishta Hai

Dard Ka Jo Ehsaas Se Hai
Sehraa Ka Jo Piyaas Se Hai
Ghareeb Ka Jo Aas Se Hai
Dard Ka Jo Paas Se Hai
Jism Ka Jo Libaas Se Hai
Gham Ka Jo Waqaas Se Hai

Mera Tumse Aesa Rishta Hai
Mera Tumse Aesa Rishta Hai…

No comments:

Post a Comment