Friday, March 21, 2014

Main Sahil Pe Likhi Howi Ibaarat Nahi

Main Sahil Pe Likhi Howi Ibaarat Nahi,
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Baarish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwaab Nahi,
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shamma Nahi,
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Hawa Ka Jhonka Nahi,
Jo Aaya Aur Guzar Gaya,
Main Chand Bhi Nahi,
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon,
Jo Tujh Mein Lahoo Bankar Gardish Kare,
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dil Pe Chade To Kabhi Na Mite,
Main Wo Geet Hoon,
Jo Tere Labon Se Juda Na Hoga,
Main To Wo Parwana Hoon,
Jo Jalta Arhega Magar Fanaa Na Hoga,
Khwaab Ibaarat Hawa Ki Tarah,
Chaand, Boond, Shamma Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawaal Nahi,
Kyon Ke Main To Mohabbat Hoon,
Aur Mohabbat Ko Koi Zawaal Nahi...

No comments:

Post a Comment