Hum Kho Gay To Pachtao Gy Bohat.
Hamain Loat Kar Aany Ki Aadat Nahi Hai.
Tery Darr Par Muhabat K Sawali Ban Jaate
Lekin Haath Phailaany Ki Aadat Nahi Hai
Teri Yaaden Aziz Hen Bohat.
Magar Ab Waqt Ganwany Ki Aadat Nahi Hai
Tum pathar Dil Nikly Kya Gila Karen Hum.
Shikwa-e-Dil Lab Par Laane Ki Aadat Nahi Hai.
Bad-Duaa B Kya Karen Huq Main Tumhare.
Hamay To Dil B Dukhany Ki adat nahi hai.
No comments:
Post a Comment