Ashk apna k tumhara, nahin dekha jata
Abr ki zad main sitara, nahin dekha jata.
Apni she'rag ka lahu tan main rawan ha jab tak
Zair'e khanjr koi payara, nahin dekha jata.
Mouj ddr mouj ulajhnay ki hawis,be-ma'ni
Doobna ho to sahara, nahin dekha jata.
Tere chehray ki kashish thi k palat kar dekha
Warna sooraj to dobaara, nahin dekha jata.
Aag ki zid pe na ja,phir se bharrk sakti ha
Raakh ki teh main sharaara, nahin dekha jata.
Zakhm ankhon k bhi sehtay thay kabhi dil waly
Ab to abru ka ishaara, nahin dekha jata.
Kaya qayamat ha k dil jis ka nagr ha MOHSIN.
Dil pe us ka bhi ijaara, nahin dekha jata.
No comments:
Post a Comment