Tum ajeeb larki ho,
Aansuon ko peeti ho,
Zehar zindagi ke sub,
Sath le ke jeeti ho
Chandni ke haalay ko,
Subha ke ujalay ko,
Roshni ke badal mein,
Jhilmilatay aanchal mein,
Baandh ke yun rakhti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Chhup ke aahain bharti ho,
Roshni se darti ho,
Apnay saray sapnon ko,
Yun chhupa ke rakhti ho,
Jaisay saray khwabon per,
Ishq ke azabon per,
Bus tumhara hi huq hai,
Aisay baatain karti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Khwab bunti rehti ho,
Khwab ke jharokon se,
Mujh ko takti rehti ho,
Un-ginat sawalon se,
Un-kahay jawabon se,
Bus ulajhti rehti ho,
Khwab daikhti bhi ho,
Tootnay se bhi darti ho,
Tum ajeeb larki ho.
Tum wafa ki baton per,
Muskurati rehti ho,
Gehri gehri ankhon se,
Duur-been nigahon se,
Sub ko dekha karti ho,
Aur sub se chhup ke phir,
Aansu?on ko peeti ho,
Janay kaisay jeeti ho,
TUM AJEEB LARKI HO!!!
No comments:
Post a Comment