Monday, February 3, 2014

Samundar Mein Utarta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain


Samundar Mein Utarta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Teri Yadon Ki Khoshbo Khirkiyon Mein Raqs Karti Hai
Tere Gham Main Sulagta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Main Hans Kar Jhel Leta Hon Judai Ki Sabhi Rasmain
Gale Jab Us Ke Lagta Hoon Tou Ankhein Bheeg Jati Hain

Na Jane Ho Gaya Hoon Es Qadar Hassas Mein Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Wo Sab Guzre Hue Lamhat Mujh Ko Yad Ate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Main Sara Din Bohat Masrof Rehta Hon Magar Jonhi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Har Ek Muflis Ke Maathe Par Alam Ki Dastanein Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Bare Logon K Ounchee Bad-Numa Aur Sard Mehlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Tere Koche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

Hazaron Mosamon Ki Hukmrani Hai Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou Ankhein Bheg Jati Hain

No comments:

Post a Comment