Friday, February 7, 2014

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hon, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi

Hamein Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahein Sahi

Hamein Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi

Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamein Intizaar Qabool hai

Wo Kabi mile, wo kahin mile, wo kabi Sahi, wo kahin Sahi

Na ho Un per jo Mera Bus nahi, k yeh Aashqi hai Hawas nahi

Mai Unhi ka tha, Mai Unhi ka hoon, wo Mere nahi to nahi Sahi

Jo ho Faisla wo sunaye, use Hashar per na Uthaye

Jo kareinge Aap Sitam wahan, wo abi sahi, wo yahin Sahi

Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'Nain' dekh hi leinge Hum

Wo Hazar Aankh se Door ho, wo Hazar Parda-Nasheen Sahi

No comments:

Post a Comment