Kamaal-e-Zabt Ko Khud Bhi Tou Aazmaoon Gi
Mein Apney Haathon Say Us Ki Dulhan Sajaoon Gi
Supurd Kar Ke Ussey Chandni Kay Haathon Mein
Mein Apney Ghar Kay Andheiron Ko Laut Aaon Gi
Badan Kay Qarb Ko Vo Bhi Samajh Na Paaeyga
Mein Dil Mein Rouungi Aankhon Mein Muskuraoon Gi
Vo Kya Gaya Kay Rafaqat Kay Sarey Lutf Gaye
Mein Kis Say Rooth Sakuungi Kisey Manauun Gi
Vo Ik Rishta -e- Benaam Bhi Nahin Laikin
Mein Ab Bhi Us Kay Isharoon Pay Sir Jhukaoon Gi
Bichha Diya Thaa Gulaboon Kay Saath Apna Vujood
Vo Sou Kay Utthe Tou Khwaboon Ki Raakh Utthaoon Gi
Ab Us Ka Funn Tou Kisi Aur Say Mansuub Hai
Mein Kis Ki Nazm Akele Mein Gaoon Gi
Javaz Dhoondh Raha Thaa Naye Muhabbat Ka
Vo Keh Raha Thaa Mein Usko Bhool Jaoon Gi
Samaotoon Mein Ghane Jangaloon Ki Sansein Hain
Mein Kabhi Teri Aavaz Suun Na Paoon Gi
No comments:
Post a Comment