Friday, February 28, 2014
Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa
Poet Farhat Abas Shah:
Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Umar Guzri Tujhe Dekhe Howay Behlaye Howay
Yad Hai?
Hum Tujhe Dil Mante Thay
Apne Seene Mein,
Machalta Howa Zidi Bacha
Tere Har Naz Ko,
Ungli Se Pakar Kar Aksar
Nit Naye Khawabon,
K Bazar Mein Le Aate Thay
Tere,
Har Nakhre Ki Farmaish Par,
Aik Jeewan Ki Tamanaon Ki Beenai Se,
Hum Dekhte Thakte Na Thay Sochtay Thay,
Aik Chota Sa Naya Ghar
Naya Mahol,
Mohabbat Ki Fiza
Hum Dono,
Aur Kisi Bat Pe Takion Se Larai Apni,
Phir Larai Mein Kabhi Hanste Howay Ro Parna,
Aur Kabhi Rote Howay Hans Parna,
Aur Thak Haar Kar Gir Parne Ka Mosam,
Khushi Bakhsh Khayal
Yad Hai?
Hum Tujhe Sukh Jante Thay Rat Hans Deti Thi,
Be Sakhta Rawish Se Teri
Dil Teri Doori Se Ro Parta Tha,
Hum Tujhe Jan Kaha Karte Thay,
Teri Khamoshi Se Mar Jate,
Teri Aawaz Se Jee Uthte Thay,
Tujh Ko Choo Lene Se Ek Zindagi Aa Jati Thi,
Sharyano Mein Thaam Lene Se,
Koi Shehr Sa Bas Jata Tha Veerano Mein,
Yad Hai?
Hum Tujhe Milne K Liye
Waqt Se,
Pehle Pohanch Jate Thay,
Aur Mulaqat K Bad Hum Bahut Deir Se,
Ghar Aate To Kehte K Humain,
Kuch Na Kaho Hum Bahut Door Se Ghar Aaye Hain,
Is Qadar Door Se Ghar Aaye Hain,
K Shayad Hi Koi Aaya Hon,
Yad Hai?
Hum Tujhe Khuda Samajhte Thay Magar,
Kufar Se Dar Jate Thay
Tere Chin Jane Ka Dar,
Theek Se Rakhta Tha Musalman Humain,
Aa Kisi Sham Kisi Yad Ki Dehleez Pe Aa,
Tere Bhoole Howay Raston Pe,
Liye Phirta Hai Eman Humain,
Aur Kehta Hai K Pehchan Humain,
Yad Hai ?
Hum Tujhe Eman Kaha Karte Thay.......!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment