Woh aks ban ke meri chashm-e-tar mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai...
Woh to meri shab-e-gham ka aik piyambar hai
Woh ik sitara jo chashm-e-sehar mein rehta hai...
Jo mere honton pe aaye to gungunaoon usey
Woh shair ban ker bayaz-e-nazar mein rehta hai...
Guzarta waqt mera gamgisar kiya hoga Woh
khud taaqub-e-shaam-o-sehar mein rehta hai..
Mera hi roop hai tu ghaur se agar dekhay
Bagola sa jo teri rah guzar mein rehta hai...
Na jaane kaun hai jis ki talash mein
Har ik saans mera ab safar mein rehta hai
No comments:
Post a Comment