Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan
Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai
surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai
naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai
Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,
Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,
Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,
Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,
Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,
Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,
Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,
Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,
Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,
Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,
Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,
Mere daman ko koi aur na chuu paye ga,
Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,
Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,
Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,
Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,
Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai…
No comments:
Post a Comment