Muhabat ka bharam hota to phir kuch soch kar jate
Warna zindgi ban k mery hamdam guzar jate
Thaky hary prindo ko jo dekha to khyal aaya
Koi jo muntazir hota to hum b apny ghar jate
Main khaa kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon
Ye thokar jo tumhein lagti to tum khud b bikhar jate
Is tanhai ka hum py bara ahsan hy MOHSIN
Na deti saath ye apna to jany hum kidhar jate.!
No comments:
Post a Comment