Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Piyaar se bare chao se bare Arman k sath
Apni Nazuk si kalai Main Charhati mujh ko
Aur Betabi se furqat k Khizan lamhon Main
Tu kisi soch Main dubi jo ghumaati mujh ko
Main tere hath ki khushbu se Mehak sa jata
jab Kabhi Mood Main aa kar mujhe Chuma karti
Tere Honthon ki Shiddat se main dahak sa jata
Rat ko jab bhi tu Nindon k safar par jati
Marmari hath ka ik takya banaya karti
Main tere kan se lag kar kai baten karta
Teri Zulfon ko tere Gal ko Chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janaa
apni ankhon ko tere husan se khera karta
Mujh ko Betab sa Rakhta teri Chahat ka Nasha
Main Teri ruh k Gulshan mein mahakta rahta
Main Tere Jism k Angan main khanakta rahta
kuch nahin to yahi Benam sa Bandhan hota
Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota.!
No comments:
Post a Comment