Kaha Nahin Tha Bichar ke jeena Mahaal hoga
Ye Zindagy Tum Pe Bar Hogi
Khizan Main lipti Bahaar Hogi
Tum Haft-e-Afalak Main Talasho Ge mera Chehra
Meri Wafaaen Saza lagengy
Fezaaen Har Pal Khafa lagengy
Kaha Nahin Tha
Zamana dharkan ki taal sur ka
Azal se beri hai yad rakhna
Wisal lamhon ke silsalon se,
Lahoo ka barh kar kharaj mange
FiraQ ka bas yeh Raaj mange
Ye do Dilon ko kabhi jo ik Sath dekhta hai
Hawa pe Sazish ka jaall Rakh kar Pukartaa hai
Suno Parindo ! Muhabbatoon ka milan kabhi bhi nahin ho saky ga
Or is Zameen Main koi bhi Chahat ka beej Hargiz nah bo saky ga
Kaha Nahin Tha
Magar Jo Maine kaha tha tum ne Suna Hy kab tha??
Suna jo Maine woh tum ne Jaana'n ! kaha hi kab tha??
No comments:
Post a Comment