Har waada-e-wafa ko bhulaane ka SHUKRIYA
Deewaana kar ke Aankh churaane ka SHUKRIYA,
Hum jaante thay aap k Qaabil nahi hain hum
Kuchh roz dil ki Aas barhaane ka SHUKRIYA,
Taabeer jin ki daikh kar Aankhein hain Zakhm Zakhm
Itne Haseen khuwaab Dikhaane ka SHUKRIYA.
No comments:
Post a Comment