Teri khushbo ka pata karti hai,
Mujh pe Ehsan hawa karti hai
Shab ki Tanhai main ab to aksar,
Guftagu Tujh se Raha karti hai
Dil ko us rah pe Chalna hi nahin
Jo mujhe Tujh se Juda karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to,
Tere kahne main raha karti hai
Us ne dekha hi nahin warna ye Ankh
dil ka Ehwal kaha karti hai
Beniyaz-e-kaf-e-dariya Angusht
Ret par Naam likha karti hai...!!!
No comments:
Post a Comment